🚨 Breaking: Hera Pheri 3 Again in Trouble! Paresh Rawal OUT?

      Hera pheri 3 ko lekar latest update a chuki hai mere blog per janvarta news                            मतलब भाई, हेरा फेरी 3



 सच में फिल्म नहीं, बल्कि बवाल बनकर रह गई है। एक बार फिर से परेश रावल ने फिल्म से एग्जिट ले ली है। और सिर्फ इतना ही नहीं, इस बार उन्होंने साइनिंग अमाउंट के साथ-साथ 15% इंटरेस्ट देकर पैसे भी वापस कर दिए हैं। बताता हूं आपको पूरी अपडेट।


तो देखो, हेरा फेरी 3 इकलौती ऐसी सीक्वल है जिसका इंतजार लोग सच में दिल से कर रहे थे। क्योंकि ये सिर्फ एक फिल्म नहीं, बल्कि नॉस्टैल्जिया का पूरा पैकेज है।


लेकिन हो क्या रहा था? पूरी की पूरी कास्ट फिल्म करने को तैयार ही नहीं थी। खासकर परेश रावल। कभी वो फिल्म के लिए हां कह देते, तो कभी बाद में जाकर ना कर देते।


अब बॉलीवुड हंगामा की रिपोर्ट के मुताबिक, हेरा फेरी 3 शायद अब नहीं बन पाएगी। शायद इसलिए, क्योंकि अगर बाबूराव के बिना हेरा फेरी 3 बनाने की कोशिश भी मेकर्स करेंगे, तो जनता उसे बिल्कुल स्वीकार नहीं करेगी।


अब देखो, बात सिर्फ फीस की नहीं है। कहा जा रहा है कि परेश रावल का फैसला क्रिएटिव डिफरेंसेज़ या किसी और वजह से भी जुड़ा हो सकता है। क्योंकि हाल ही में उन्होंने अक्षय कुमार के साथ भूत बंगला की है, और इसके अलावा हंगामा 2 भी कर रहे हैं।


मतलब भाई, जो भी दिक्कत है, उसे बैठकर सुलझा लेना चाहिए। क्योंकि हेरा फेरी 3 सिर्फ एक फिल्म नहीं है... ये करोड़ों लोगों की इमोशन है। 



Matlab bhai, Hera Pheri 3 sach mein film nahi, balki bawal bankar reh gayi hai. Ek baar phir se Paresh Rawal ne film se exit le li hai. Aur sirf itna hi nahi, is baar unhone signing amount ke saath-saath 15% interest dekar paise bhi wapas kar diye hain. Batata hoon aapko poori update.


To dekho, Hera Pheri 3 iklauti aisi sequel hai jiska intezar log sach mein dil se kar rahe the. Kyunki ye sirf ek film nahi, balki nostalgia ka poora package hai.


Lekin ho kya raha tha? Poori ki poori cast film karne ke liye tayyar hi nahi thi. Khaaskar Paresh Rawal. Kabhi woh film ke liye haan keh dete, aur kabhi baad mein jaakar naa kar dete.


Ab Bollywood Hungama ki report ke mutabik, Hera Pheri 3 shayad ab nahi ban paayegi. Shayad isliye, kyunki agar Baburao ke bina Hera Pheri 3 banane ki koshish bhi makers karenge, to janta use bilkul accept nahi karegi.


Ab dekho, baat sirf fees ki nahi hai. Kaha ja raha hai ki Paresh Rawal ka faisla creative differences ya kisi aur wajah se bhi juda ho sakta hai. Kyunki haal hi mein unhone Akshay Kumar ke saath Bhoot Bangla ki hai, aur iske alawa Hungama 2 bhi kar rahe hain.


Matlab bhai, jo bhi dikkat hai, use baithkar solve kar lena chahiye. Kyunki Hera Pheri 3 sirf ek film nahi hai... ye croreon logon ki emotion hai.

Previous Post Next Post